DEPARTMENT OF SOCIAL WORK, LUCKNOW UNIVERSITY, COLLECTIONS THE GOOD ONES, GREAT POEMS, FUNNY PICS, SHER O SHAYARI.
Wednesday, January 7, 2009
*~**~ for you ~**~*
*~**~ for you ~**~*
Ke Tujh Se Juda Hokar Bhi
Jeene Ki Aadat Ho Jaye
Tum Laut Ke Aaogey Humse Milne
Roz Dil Ko Behlane Ki Aadat Ho Jaye
Tere Waade Pe Kiya Bharosa Humne
Shab-Bhar Tera Intezaar Karne Ki Aadat Ho Jaye
Khushi Main Bhi Hum Kya Muskarate Ke
Teri Judaai Mey Rone Ki Aadat Ho Jaye
Kaafile Nikal Gaye Hume Chod Ke
Ab To Tanha Safar Ki Aadat Ho Jaye
Har Mod-Par Mili Ghum Ki Parchhaiyaan
Zindagi Se Samjhauta Karne Ki Aadat Ho Jaye
*~**~*~ for you ~*~**~
is ishq se bada gunaah bhala kya hai
har dil mein yaaro jo ye gull khila kya hai
kuch nishaan reh jaate hain sab kuch jal kar
fir bhi aashiq kehte hain ki jala kya hai
rotey hain aashiq galti par apni
fir is duniya begaani se inhe gila kya hai
sab jaankar anjaan bane rehte hain ye dilwaale
is badnaam mohabbat se inhe mila kya hai
majbur hokar aaj puch raha hai sabse
ye toot kar bikharne ka silsila kya hai
No comments:
Post a Comment