Wednesday, December 3, 2008

Aapki yaadein










Aapki yaadein

Aapki Yaadon Ke Siwa Koi Sahaara Nahi
Aapko Soche Bina Deen Gujarta Humara Nahi
Har Saans Mein Humari Ab Aap Samaane Lage Ho
Aur Aapne Hume Ab tak Khwabo Mein Utara Hi Nahi
Muskurate Chehre Ke Peeche Rota Hai Dil Mera
Ankhon Mein Hai Samandar Par Ashq Baha Sake Nahi
Humto Zinda Hi Aapke Pyaar Ke Sahaare Hain
Kaise Aaye Aapne Hontho Se Pukaara Hi Nahi
--------------------------------------------------------------------------------
Tadapte Rahe
Dard Rukta Na tha Ek Ghadi Ke Liye
Maut Se Hum Ladte Rahe Zindagi Ke Liye
Asmaan Se toh Rehmat Barasti Rahi
Hum Taraste Rahe Ek khushi Ke liye
--------------------------------------------------------------------------------
Pani Se Pyass Na Bujhi
Pani Se Pyaas Na Bujhi
toh Maikhane Ki taraf Chal Nikla
Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se
Par Khudha bhi Tera Ashiq Nikla
--------------------------------------------------------------------------------
Sochti rehti hun
Tanha jab rehti hun khayalo me tumhe paati hun
har jagah tumhe main mehsoos karti hun
apne saaye mein bhi main tumhe hi dekhti hun
kyun tum hi tum nazar aate ho sochti rehti hun
yeh kaisi hulchal hai dil me jo pehle na thi
her aahat se kyun main chounk uthti hun
nazar hamesha tumhe hi talashti rehti hai
kya tumhe bhi aisa lagta hoga sochti rehti hun
aate hi khayal tumhara lab yun khil jaate hai
dil hi dil me tumhe sada deti rehti hun
saamne na ho phir bhi kyun palak jhuk jaati hai
yeh kaisi uljhan hai kya hua aaj mujhe sochti rehti hun
--------------------------------------------------------------------------------
Ye dil udaas hai
Ye dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do
Meri kismat me gham-e-tanhai hai lekin
tamam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Ye janta hoon ke umr bhar tanha mujhko rehna hai
magar pal do pal, ghadi do ghadi mera naam hi likh do
Chalo hum maan lete hain saza ke mustahiq thehre
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do
--------------------------------------------------------------------------------
zindagi thi ajeeb
Zindagi thi ajeeb sab ke sab ek khwaab the
jo khushi nahi mili uske gam behisaab the
tha samander apna fir bhi kyu pyase the
humari ek hi baat mein chhupe kayi hijaab the
--------------------------------------------------------------------------------
Mohabbat ki aag mein jal jaane do
Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do
har lamha mar ke aaj phir jee jaane do
isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai
mujhe ishq ki baaho mein so jaane do
tadap ki aag hai judaai ki baahon mein
mujhe aaj is mohabbat se mill jaane do
meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe
mujh benaam ko is naam mein kho jaane do
kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob
mujhe is mohabbat ki aag mein jal jaane do

No comments: