DEPARTMENT OF SOCIAL WORK, LUCKNOW UNIVERSITY, COLLECTIONS THE GOOD ONES, GREAT POEMS, FUNNY PICS, SHER O SHAYARI.
Wednesday, January 7, 2009
*~**~ for you ~**~*
*~**~ for you ~**~*
Ke Tujh Se Juda Hokar Bhi
Jeene Ki Aadat Ho Jaye
Tum Laut Ke Aaogey Humse Milne
Roz Dil Ko Behlane Ki Aadat Ho Jaye
Tere Waade Pe Kiya Bharosa Humne
Shab-Bhar Tera Intezaar Karne Ki Aadat Ho Jaye
Khushi Main Bhi Hum Kya Muskarate Ke
Teri Judaai Mey Rone Ki Aadat Ho Jaye
Kaafile Nikal Gaye Hume Chod Ke
Ab To Tanha Safar Ki Aadat Ho Jaye
Har Mod-Par Mili Ghum Ki Parchhaiyaan
Zindagi Se Samjhauta Karne Ki Aadat Ho Jaye
*~**~*~ for you ~*~**~
is ishq se bada gunaah bhala kya hai
har dil mein yaaro jo ye gull khila kya hai
kuch nishaan reh jaate hain sab kuch jal kar
fir bhi aashiq kehte hain ki jala kya hai
rotey hain aashiq galti par apni
fir is duniya begaani se inhe gila kya hai
sab jaankar anjaan bane rehte hain ye dilwaale
is badnaam mohabbat se inhe mila kya hai
majbur hokar aaj puch raha hai sabse
ye toot kar bikharne ka silsila kya hai
Kya Tum Bhi Roye Ho Kabhi..
Kya Tum Bhi Roye Ho Kabhi..
Ik raat hui barsaat bahut
Main roya saari raat bahut
Har gam tha jamaney ka lekin
Main tanha tha us raat bahut
Phir aankh se ek sawaan barsa
Jab sehar hui tou khayal aaya
Woh badlee kitni tanha thi
Jo barsi saari raat bahut.....
Main jiss ko janey sey na rok saka,
Main uss sey mohabat ka dawa kyun karoon
Merey pas ab roney ke siwa kuch bhi nahin,
Yahi daulat hai meri koi aur dua kyun karoon
Hum chahkar bhi tumhe pa na sake
Par tumne na chahkar bhi hume pa liya
Hum na chahkar bhi tumhe bhulane ki koshish kar rahe hai
Par tum chahkar bhi hume bhula na sake
Hum chahkar bhi tumhe khushiya na de sake
Par tum na chahkar bhi hume khushiyaan de gaye
Hum chahkar bhi pyaar nibha na sake
Par tum na chahkar bhi pyaar nibha gaye
Kisi ki khatir qaraar khona
Koi sunay ga to kya kahay ga
Yun uth kar tera raatoon ko rona
Koi sunay ga to kya kahay ga
Bhanver main mujh ko jo chor jatey
To tum par bhi na baat aati
Yun laa key sahil pay phir dubona
Koi sunay ga to kya kahay ga
Us k siwa koi mere jazbaat mai nahi
Aankhon mai wo nami hai jo barsaat mai nahi
Pane ki usse koshish bohut hai magar pata nahi
Wo lakeer mere haath mai hai ya nahi
Kya Tum B Roye Ho Kabhi..?
.
.
.
Es Qadar Toot Ker
Meri Yadon Se Nidhal Ho Ker
Mujh Se Milny Ko Betab Ho Ker
.
.
.
Kya Tum B Roye Ho Kabhi??? bolo na ..
sujeet
Saturday, January 3, 2009
A very beautiful poem on today's fast life.
' WAQT NAHI '
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.........
With Best Regards,
Sujeet Kumar
Friday, January 2, 2009
shayri
shayri
Unki galiyoon se jab guzre to manzar ajeeb tha,
Dard tha magar wo dil ke kareeb tha,
Jise hum dhoondhte the apni hathoon ki lakeeroon mein
Wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.
............ ......... ......... ....
Khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote
Jaise rutha mera sanam kisi aur ka na ruthe
Rota hai dil aur toot jate hain sapne
Ankhon ke aansoo bhi nahin hote hain apne
............ ......... ......... ....
Kaash wo nagme humein sunaye na hote,
Aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,
Agar is tarah bhul jaana hi tha,
To itni gehrai se dil mein samaaye na hote..
............ ......... ......... ....
Neend aankhon main nahin, khwaab kho gaye
Tanha hi the, kuch aur tere bin hum ho gaye
Dil kuch tadap utha, zuban bhi ladkhadai
Teri yaad main do aansu chupke se beh gaye !
............ ......... ......... ....
With Best Regards,
sujeet kumar